This lilting song is sung by Spectra and the writer for Tum Nazar mein Lyrics is Spectra.
“TUM NAZAR MEIN” SONG INFO
Singer : Spectra
Album : Hustle 2.0
Lyricist : Spectra
Music : Spectra
Genre : Hip-Hop (Rap)
Music Label : KaanPhod Music
Release: 2022
Tum Nazar mein Lyrics
Tum nazar mein, tum nazar mein
Sookha ho dariya toh barsaat kaise hogi?
Ik tarfa khamoshi mein baat kaise hogi?
Zinda ho saansein toh mil liya karo
Na jaane maut ke baad mulaqat kaise hogi?
Ab teri yaadon ka karz kaise chukaaye?
Jab, khali ho kamre toh ghar kya hi sajaye
Jab, mann mein tu hain, toh bin kaha bataye
Tu bin batake gaya, bina kuch bataye
Tere hone se syaahi thi, abb likhun kya nazam
Jab, khoya marham toh pata chala zakham
Tamaam dhoonda chain maine apne hi ghar
Par, kabrein dikhi jab bhi dekha koi palang
Kyun ganwa diya tera saath haan
Samjhaute ke rishton mein bandh
Likhun phir se woh daastaan jahan ishq
Musalsal, hifazat mein hum do badan
Ibaadat ho jaaye, jab lafzon mein naam tera
Aur nazmon mein aaye zikar
Qayamat bhi aaye, mohabbat yeh kam na
Pade jahan jismon ki hogi qadar!
Rehna tum nazar mein
Haan rehna tum nazar mein
Joh hum na mil sake kyun gam piyein?
Joh maut aayegi toh ban
Jaana tum taara oh sanam
Rakam yahan saanson ki
Dadhkan ko taane bhi
Kyun zinda logo ko ab
Jeene mein haan aati hai sharam?
Rehna tum.. Haan rehna tum..
Yaad kar baitha hoon phoolon ko dekh baat teri
Paani ab deta hoon phoolon ko subhon-shab
Waqt ke rehte kaash diya hota sab tujhe
Waqt ke saath tujhe diya hota waqt
Auron ko cheezein teri bakhoobi dikhau
Logo ko baithe teri ab main kahani sunaau
Kaash sun leta kahani teri main tab
Tere gul-e-gulzaar mein aata nahi shafaq
Haan, tere bina lagta hai soona
Ik arse se maine tujhe dekha nahi
Mehsoos abb hota kuch haina
Naam aur shohrat kabron mein jaani nahi
Dhadkan lage kyun pareshan
Shehron mein ik zalzala
Manzil joh tujhse milaye
Uss ghar ka rasta kaha na?
Tum nazar mein
Haan rehna tum nazar mein
Joh hum na mil sake
Kyun gam piyein?
Joh maut aayegi toh ban
Jaana tum taara oh sanam
Rakam yahan saanson ki
Dhadkan ko taane bhi
Kyun zinda logo ko ab
Jeene mein haan aati hain sharam?
Rehna tum nazar mein
Rest easy rest in peace
________________________________________________________________________________
You will love this one also
“Fitrat”
Singer: Suyyash Rai
Lyricist: Suyyash Rai
Music: Viplove Rajdeo
Language: Hindi
Director: Jay Parikh
Added by
admin
WRITE A COMMENT
WRITE A COMMENT
No comments yet