RAFTAAREIN LYRICS
Veera…..
Yeh sarrati sarrati raftaarein hain
Aage bas manzil hai peeche hawayein hain
Veera…..
Yeh sarrati sarrati raftaarein hain
Aage bas manzil hai, peeche hawayein hain
Tharrata tharrata ik toofaan jo chhoo ke jo guzre tto
Tham jaati raahein hai
Veera…..Veera…..Veera…..
Ziddi iraada hai koi
Kismat ki ik jo na maane
Jalta ik shola junoon ka
Khole ujaalon ke khaane
Raato’n ko cheere subah ki teerein
Kaali zanjeerein tod ke hi bana dil naya
Waqt ne jaise (Ho..) Lamha chuna ho (ho..)
Sare itihaaso pe jo choodega apna nisaan ho
Sarrati sarrati raftaarein hain
Aage bas hai manzil peeche hawayein hain
Veera…..
Tharrata tharrata ik toofaan jo chhoo ke jo guzre tto
Tham jaati raahein hain
Mushqil woh mushqil hi kya hai baazi jo jaan pe naa aaye
Gir hai bhi gir hai kahaan hai aasani se khul jo jaaye
Khayalo mein bhi jo, mumkin nahi ho
Wahi kar dikhana himmaton ki tto pehchaan hai
Khud me khud hi ka kuch bhi kahaan hai
Jaan bas wohi hai yaariyo’n pe jo kurbaan hai
Sarrati sarrati raftaarein hain
Aage bas hai manzil peeche hawayein hain
Veera..
Tharrata tharrata ik toofaan jo chhoo ke jo guzre tto
Tham jaati raahein hain
Veera…..
______________
Click here for another popular track –
Added by
Comments are off this post