This energetic song is sung by MC Headshot, Gravity and the writer for Darr kyun lage Lyrics is MC Headshot, Gravity.

DARR KYUN LAGE” SONG INFO

Singer : MC Headshot, Gravity
Album : Hustle 2.0
Lyricist : MC Headshot, Gravity
Music : MC Headshot, Gravity
Genre : Hip-Hop (Rap)
Music Label : KaanPhod Music
Release: 2022

Darr kyun lage Lyrics

Shayad akelapan shayar ke liye
Woh kahe zaroori hai
Kaash mile manzar aisa ki
Khud ke saath bina dare kuch lamhe bitana
Aise na lage ki mazboori hai

Darr kyun lage
Na tere jaane se par tere aane se
Hum kyun jeeyein
Tere behkaave mein tere reh jaane se?

Sehma hua main toh zindagi se
Zinda dili khatam hoti jaa rahi
Khaali-khaali raatein kaali-kaali baatein
Maare jaatin mujhe zinda tujhe khaati

Dooriyan sataati badhti aatishbaazi
Sona nahi raazi neend bhi jagaati
Sannatte ki cheekh sehemta bheed mein
Na sunu shor bas kaanon mein geet chale

Darr kyun lage?
Na tere jaane se par tere aane se
Hum kyun jeeyein
Tere behkaave mein tere reh jaane se?

Chup-chaap rehta kamre mein band
Kitaab likhun tere baare hazaar
Gumnaam rehta tere khayaalon mein
Sunsaan aane wala toofan

Main gustaakh hoon toh tu bhi kya kam
Yeh ilzaam mujh pe na laga
Main toh aansun zaaya karun naam tere
Baaki dil ke tukde mere rakh tere paas

Uski dilkashi hai padti bhaari
Khudko khona nahi chaahe jitna gumaan
Khudki zindagi mein bharde tu rang
Theharna nahi kabhi waqt ke saath

Yaadon ki dhoop mein tapte haath
Yeh mausam na ho jaaye badmizaaj
Ho gaya tha mera tark ijaad
Na jeena tujhe uske karz ke saath

Usne chhupaaye tujhse kitne raaz
Joh khulne ko hain jaise khulti aankh
Beshak uske bina zindagi adhoori
Hoti kaafi badtar uske saath

Khush hoon main zyada ab khud ke saath
Woh mukhtasar deti chup jawaab
Ab jitne sawaal sab gumshuda
De uski tasveer se rukh hataa

Mujhe maare, main likhun na ab
Tere baare , na gardishon mein
Ab sitaare par phir bhi ab
Hum muskuraate
Teri yaadein na chaahe na tujhe
Tujhe talaashe ab khushnuma hain meri
Meri aankhein, na raha tu na raha pyaar

Par aaj bhi mujhe
Darr kyun lage?
Na tere jaane se par tere aane se
Hum kyun jeeyein
Tere behkaave mein tere reh jaane se?
Chaand thehra jaise thehri saugaat
________________________________________________________________________________

More Similar song

Song Title: Jalebi Bai
Song Writer: Anand Raj Anand
Singer: Ritu Pathak
Movie Album: Double Dhamaal
Music Composer: Anand Raj Anand
Music Label: T-Series

Added by

admin

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *